Saturday, July 09, 2011

SMS

Har shayar ka khwaab tu,
ada bhi tu, meri wajah bhi tu
Meri Ghazal ki kitaab tu.
--------------------------------------------------------------------------------------
Ishq ka ye zulm purana,
dard dekar,fir dava lagana,
nazron mein kaid kar, kehna ki  - Jaa.na.
--------------------------------------------------------------------------------------
Yaad nahi aai tumko hamaari,
ke hamaari subah bhi aap ho saanjh bhi,
hamaari raah bhi tum ho, mukaam bhi.
--------------------------------------------------------------------------------------
Na tha main aisa ke toone kya kar diya, chhoo ke is mann ko sona kar diya.
Na tha main aisa ke toone kya kar diya, iss berang jahaan ko apne rang rang diya
Na tha main aisa ke toone kya kar diya, bezubaan is dil ko shaayar kar diya
--------------------------------------------------------------------------------------
Is bekhudi mein bhi ajab sa karaar hai,
teri nazdeekeeyon ki nazar - jahaan naya sa hai, mein naya sa hoon
teri chaah ka hai kya asar - tu main sa hai, main tu sa hoon.
--------------------------------------------------------------------------------------
Teri tareef kar darta hoon ab,
Mere haal-e-dil pe tu kahin hass na de

No comments: